Qauid e Azam (RA) nay jab yeh fermaya tha k fouji janta ko .. mulk ki seyasat main kabhi shamil na kiya jaye tu un ki nazrain ajj k dor tak thein .Is baleghul nazri ka kiya kehna yeh aik khuda dad saliheyat the jis ki bina per fouj aur serkari madakhilat karun nay bhaut jalde baniy-e-Pakistan ko is mulk say door ker dea ta k in awamil ko samnjhnay wali akal ko hi khatum ker deya jaye. Woh nigah hi mita de jaye ho Door Bee ho. Us faham ko hi khatum ker deya jaye jo door rus ho , Ajj k door k buzurj (MAHAL) akalo danish k payamber ban ker akhbaron aur television per baray karofar ( MAGHROOR) apnay khayalat ka izhar fermatay nazar atay hian .Magar woh apni zubano ko us waqat Talaa’ laga letay hian jab asal tabhaii aur bebadi k zumadaraan per nazarain perti hian .
Pakistan ki afwaj belashuba nechlay level tak ba asool , sachay , aur waafa dar watan k sepahee hian , magar jab yehi Commissioned afsaraan aik makhsoos had paar ker letay hain tu tamam tar wafa dariyaan asool aur hata k imaan tak sirf aur sirf Pait per berhtay huay size per qurbaan ker detay hian .
Ayub Khan say Perviaz Mushraf tak Serbarah-ne-Fuaj ka kibala o kaba sirf aur sirf America hi raha !!! Kiun !! ??? Is herani aur sawal ka jawab Pakistan k awam k pass nahi hai .America nay Paksiatni deriyaaon ko pani Baharat k hawalay kerwa deya- Mulk kay baray regestani hisa ki zarat khatum ho gaye- aur General Sahib field Marshal ban gaye- Merhoom k lawahkeen Karachi ki BaronaqAbadi k Phase 2 main Darbar-e-Aam lagatay rahay aur mulk o qoom say zeyadati kertay rehay-
Saiyaan Bhayee Kotawaal ab Dar Kaahe ka —
Akhir woh General Ba khud ya sakhta Field Marshal aik bhaut hi Wafadar chopaye ki mout mar geya aur Lawahekeen k liya Zar -o-Jawahir ki nadiyaan chor geya- Jo ab tak Kushuk na ho sakin- Mamoli say Officer ka beta Pakistan main kafi Jaeedaad bana ker geya- NASLAIN KHUSH HAAL – PAKISTANI BAD HAAL !!
Phir woh Banda aya jo naslaan Pakistani hi na tha- Us ko kiya dukh aur dard ho ga ?? Magar yeh zaror Hai — k us ki naslaain Pakistani maesheeyat ko khokala kernay k liya nahi hain , Magar woh Pakistan ko Dolakht ( 2 pieces) ker geya is say bara kiya ahsan ho ga jo Quaid – e Azam (RA) k khuwab ko chikna chor kiya ja sakay – Aj woh hisaa, is hisay say ziyada takrkee yafta hai kiu n k us k hisay mian itney laaik faaiq Gernayl nahi aay –
Phir Door aya aik asay Mujahid e Azam ka, jo zameen per ALLAH ka khalifa bannay ka mutamani tha Us nay tu kamal hi ker deya- Aik Gobar k oplay thapnay wali ka beta qoom ko thapnay laga- Humsaya k gher daaka dalnay k liya k door paray k badmaash ka aala kaar ban geya- Humsaeygi ka khoob haq ada kiya – Rupay pesay k awiz Islam k chulan ko bhula deya – Humsaya ka haq gahir ko deya aur humsaye ko tukray tukray ker deya, aur khoob khul ker khaila aur woh sab karaye k badmassh Alqaida k pasdaar khud us nay apnay mulk k liya waba le jaan bana deya, ab wohi Alqaida , wohi Talbiaan jo humsaya ko tukray tukray kernay k liya aay they Zakota Jin k terhan is qoom ki gerdan per sawar hain – Us munafiq nay apnai naslo ko sonay k mahal banwa deya … Loharao ki oladain, Lohay k satoon per Pakistan k maeesheyat aur Pakistanion k dilon main chaid kernay lagay- Aam pPkistani lohay k zang main rangta chula geya aur us Zia ul Haq k paltoo lohay ki terhan surkh ho ker Pakistani maeesheyat ko peghla ker rekh deya — Her industry scrap ho ker reh gaye aur sirf woh industry chulti rehi jahan un ki bani hui machinery lage the – Kapaas.. gannay ka roop dhaar gaye aur duniya nay Coukander, shukar kandi aur masnooee cheeni bana ker ganna bhi pale (nechor) k rekh deya akhir is kertoot itney baray ho gaye k us ki qurabaani k liya chotay chotay bakray bhi merwanay paray aur us say nejaat hasil ker li magar is tammam khail mian Pakistan apnay bhaut say keemti asasay kho betha !
Phir aik aur kutay wala Mard e Mujahid aa geya- Jis ka sathi sirf kuta tha- mulk main bhi aur mulk say bahir bhi- Us ka kerdar tu kutay say bhi geya guzra raha- Magar her paak shaay ko najis zaror kerta raha aur yeh nejasat Mazhab, Maashrat , Seyasat – aur Amm halkoun tak nazar aay ge, Khud us nay taktwar kutay aur Kamzor kutay ka khail khoob khela, hamesha bhumbhorta raha, magar kutay ki terhan Oglaa hua negalta bhi raha – Aj Pakistan main hi nahi duniya mian her jaga apni nasal k liya Dog houses banwa deya hain balkay pakistanio ko beaich beiach ker jazeeray khreed liya … Sakon say mernay k liya tu 6 x 3 hi kafe hia magar Pakistani Afwaaj k serbara hian kam jaga per kesay guzray ge ??
Khuda janay Islam kahan hai ? Talibaan k pass bhi nahi Alqaida k pass bhi nai .. Phir kahan hai ?? Shayd Amercia bata sakay … Ab aam Paksitani tou yeh sab pouch nahi sakta. Ay qoom k ghadrao jo mulk chor ker bahir ja bethay ho tum hi pouch ker bata do .. k is aish- o- ishrat k deriya mian ghotay laganay walo ab is deriya ko tu bakhsh do jahan say gahrrib sirf apni peyaas buhjhaa sakain –
Kab woh Nejaat dahinad aay ga ?? aur in makaron say gharib ki jaan churwaye ga ?? kab sahi Nezam-e-Mustafa (s.a.w.w) aur Tarz-e-Murtaza(a.s) aay ga ??? Jo sab ko rote pait bharnay k liya dey ga ?? Kassh Jald aa jaye …..
hmmm wesay to main army ki buht izat kerta hun mager yeh sab bhi sach hay. lakin eik baat sochnay wali hay k army ka kaam to state defense hay phir wo politics main kiun aa jati hay? kiun? kiun k hamari civil administration itni khrab hay k unko bar bar moqa deti hay k wo apna asal kaam chor k politics main aa jatay hain! yeh sirf blame game hay k army nay yeh ker diya wo ker diya! yeh baat tab thiek lagay jab civil administration mulk buht achi terhan chula rehi ho. bhutto, nawaz shareef, baynazir aur ab asif zardari kis charactor k malik hain yeh hum sab jantay hain. ager fouj nay mulk ko loot loot k apni tejorian bhari hain to in logon nay konsa mulk to taraki ki rah pe dala hay?? yeh to un say bhi baray chor hain. army jab ati hay to without public trust aa k take over kerti hay lakin jab yeh civil adminstration ati hay to awaam k vote ley k un ka aitbar ley k ati hay! inko kon see sharam aye hay aj tak?? inhon nay konsa apnay awaam k trust ka khiyal kiya hay??? ye to ziada baray ghadar hain!!!
ager kabhi apna muhasba ker k hum khud say pochain to in say baray chor bhi duniya main mojood hain aur wo hum khud hain. badmash,…badmash sirf tab banta hay jab aam awam un say dernay lagain. jab wo choti choti batoon ko tawaja na dain. hum itnay khudgharz hain k humain apnay siva kisi ki perva he nahi. aur esi society main jehan sab ko apni apni per jaye to yehi hal hota hay. jab humain sirf apni aur apnay ghar waloon ki pari rehti hay to yeh hukmraan bhi to insaan hain..phir yeh kiun na sirf apna intrest dekhain??
aj jab kabhi koi hungama hota hay to aam logon ki dukanain kiun lut jati hain? kiun eik aam ghareeb ki motorcyle car jala di jati hay?? yeh humari okaat hay. hum khud ander say wehshi ho chukay hain aur humain jab kabhi esa moqa milta hay to hum apni wehshat nikal detay hain. yeh baat to Allah khud keh chuka hay k jitni badtar qom hogi us say zyada badtar us qom ka hukmraan hoga. kiya is baat say humain samjh nahi ati k hum khud kis nehaj pe hain?? ager asif zardari humara hukmaraan hay to iska matlab ye hay k hum sab bhi kisi chor lutaray say kam nahi hain! tabhi to wo humara hukmraan hay werna eik achi islamic society main asif zardari jesay logon ki jaga kehan!! esay log to achi society main sirf survive ker jain to bari baat hay wo to yehan ka hukmraan hay!!!
Islam k naam pe liya hua yeh mulk aj kisi third class badmashon k aday say bhi giya guzra hay. kisi badmash k aday k bhi kuch asool hotay hain yehan to wo asool bhi nahi hain. jis ka jee chahay wo jis ko merzi loot lay! akhir yeh baat yehan tak puhanch kesay gae?? aj hum sab chekh rahay hain k sari duniya islaam ko badnaam ker rahi hay…thiek ker rahi hay duniya! Aj ka islam badnaami k laik he hay kiun k yeh wo islaam hay he nahi jo humaray piyaray Nabi (s.a.w.w) nay diya tha..yeh to wo islam hay jo hum nay khud bnaya hay!! Allah Rasool (s.a.w.w) ka naam ab sirf logon ko expolite kernay k liye reh gea hay. ager aap say koi bhi ghalt kaam nahi pora ho reha to Allah Rasool (s.a.w.w) ka naam ley k pora ker lain!! pata nahi hum kon hain! 36000 hazar humaray fikay hain, 36000 humari masjidain hain, 36000 humaray tarekay hain, molvi masjidon main beth k ibadat k bjaye dhanda ker reha hay. koi pochnay wala nahi koi dekhnay wala nahi. humari ankhain band hain, kaan band hain, mou band hain..bus mera pait bhar jae baki jo merzi kerta rehay!!!! yeh meri apki nahi pori qom ki souch hay!!
hum islam ka intizar kiun ker rehay hain?? islam kahin ghaab say nahi ana..islam humaray ander hay! humain kisi ko nahi apnay aap ko tatolnay ki zarorat hay! humain kisi ka kibla kaa’ba nahi apna drust kerna hay! humain derya samundar ko nahi dekhna humain eik katray ko dekhna hay jo hum khud hain! hum kisi ka deen imaan to nahi badal saktay per apna to badal saktay hain! islam jab aya tha to koi pori fouj to asmaan say nahi utri thi! eik eik ker k he fouj bani thi! ager hum aj say apna app thiek kerna shuru ker dain to inshAllah humari anay wali naslain achi zindagi guzarain gi. eik achi muslim society hogi. Islam ka Pakistan ka naam duniya main gonjay ga! phir kisi ki himat nahi hogi k wo islaam ko terriorist religon keh sakay!
hum apnay safar k buht aghaz main hain buht..humain frustrate honay ki koi zarorat nahi..60 years koi buht bara ersa nahi hay, qomain bannay main to sadiyan lag jati hain..inshAllah hum log jald deen-e-Mustafa(s.aw.w) aur tarz-e-Murtaza (a.s) pe chulain gay.
Allah hum sab ko islaam ko samjhnay aur us pe amal kernay ki tofeeq aur himat day. ameen
Sum ameen !